Friday, 8 June 2012
Barh jaye ya kam ho jaye aglay musam mein
Janay kitna gham ho jaye aglay musam mein

Mumkin hai jo dukhray sehty sehty dhair huwa
Woh bhi taza dam ho jaye aglay musam mein

Dard samaitay is umeed pey jeevan beet gaya
Ho sakta hai kam ho jaye aglay musam mein

Ho sakta hai jitni gehri chahat guzri ho
Itna gehra gham ho jaye aglay musam mein

Kehna hai jo pyaray keh lo dekho mumkin hai
Aana jana kam ho jaye aglay muysam mein…

0 comments:

Categories

Latest SMS

Categories Pics